Monday, January 10, 2011

bikhra


bikhar jayega.......bikhar jayega 
tera har ek woh pal(2)
nahi rahega koi.......nahi hoga koi.....
bas rehjayega.....rehjayega tu wohi


jo pal hai use tu bandh le
jeena hai toh use tham le
guzra hua kal phir nahi ayega
anewala kal bas yuhin jayega


kho jayega baaris ki woh boondein
kho jayega phoolon ki eoh mehkein
nahi rahega koi......nahi hoga koi
bikhar jayega.......bikhar jayega
tera har ek woh pal....har ek woh pal


jo yaadein hain use tu rehne de...
jo baatein hain use tu behne de
nahi hai tere bas me
nahi hai mere bas me.....
din ke baad raat hain
aur raat ke baad din
bas reh jayega...rehjayega tu wohi

bikhar jayega..bikhar jayega...
tera har ek woh pal....har ek woh pal......

bachpan


baadlon ki waadiyon me kahi
pani ki jharno me kahi
pedo ki chhao me kahi
duniya ki bhir me kahi
khogaya hai mera bachpan

yaad aatein hai mujhe
woh hasta hua pal
yaad aatein hai mujhe
woh guzra hua kal(2)
jo meri aankhon me jhalakti hai hamesha


najane kaha khogaya hai
najane kaha,,,,,
woh suraj ki pehli kiran
jo lekar aati thi darwaazo pe
doston ki dastak
woh dhalti hui shaamein
jise dekhkar jhoomte hue
ghar laut aate the...
woh chandini raatein.......
jo aankhon me mithe sapne lekar aaya karti thi


yaad aatein hai mujhe(2)
mera bachpan(2)

khogaye hai(2)
woh masoom si muskurahatein
najane kaha(2)
is dharti ki chadar me
sab sogaya
najane kaha


yaad aatein hai mujhe
yaad aatein hai mujhe
mera bachpan
jo meri aankhon me jhalakti hai hamesha.........

giraft


tu giraft me hai re bande
par mat reh tu gardish me
mana aaj hai tu bandha
par mat reh tu bandish me

rona nahi rona nahi....
zindagi se tu haarna nahi..
mana tera suraj aaj hai dooba
par yaad rakh kal to hoga phir savera......
chuega phirse tu woh neela aasman......
payega phirse tu woh bikhra jahaan


suraj ki roshni me nahi to kya
duniya ki rangon me nahi to kya........
sitaron ki mehfil me nahi to kya..
baaris ki boondein me nahi to kya
khuda ka nishaan nahi milta
to yakeen karega tu kya
tu hi aag hai....tu hi jal hai.....
tera hi nishaan hai
tu hi khuda hai

tu giraft me hai re bande
par mat reh tu gardish me
mana aaj hai tu bandha
par mat reh tu bandish me.......

saaya


teri yaadon ke saaye me najaane kya hai
teri aankhon ki palkon me mera jahan hai
kuch baatein jo keh na paun tumse
kya woh tumhe pata hai

teri baaton me jo kashish hai
teri payal me jo sangeet hai
teri choori me jo khanak hai.....
mujhe teri ore bulati hai...................
kya woh tumhe pata hai...........


jab chupke main tumhe dekhta hu
tumhari muskurahat pe jab jhumta hu
tumhari aahat ko jab sunta hu
tumhari khayalon me jab khoya rehta hu
kya woh tumhe pata hai


meri subah tumse shuru hoti hai
meri zubaan bas tumhara hi naam leti hai
tum ho to sab kuch hai
tum hi meri umeed ho
tum hi meri khwaish ho
tum hi meri duniya ho.......
kya woh tumhe pata hai

teri yaadon ke saaye me najaane kya hai
teri aankhon ki palkon me mera jahan hai
kuch baatein jo keh na paun tumse
kya woh tumhe pata hai.....